Muslim Firqe Aur Quran Ki Nasihat



Aaj Ka Musalman Ek Nabi Ka Ummati Na Hokar Gairon Ki Tarah Bas Firqo Me Bata Hua Insan Hai. Jisse Bachne Ki Hidayat Sakht Lafzon Me Quran Me Kai Jagah Par Di Gayi Hai. Lekin Afsos Ki Hamare Hi Mazhab Ke Kuchh Log Ummat Ko Ek Karne Ki Jagah Tabqo Me Baatne Me Lage Huye Hain. Kisi Ke Liye Ek Tabqa Gustakh E Rasool Hai, To Kisi Ke Liye Dusra Tabqa Biddati. 


Quran Ki Surah Anam Me Allah (Swt) Ka Saaf Farman Hai Ki Jo Tabqo Me Bat Gaya Aye Rasool (S.A.W) Uska Aapse Koi Waasta Nahi.

Har Tabqe Ki Apni Dalilein Hain. Har Koi Khud Ko Umda Aur Dusre Ko Galat Saabit Karne Par Tula Hua Hai. Lekin, Hum Yeh Bhool Gaye Hain Ki Sahi Or Galat Ka Faisla Karne Ka Haq Sirf Us Paak Zaat Ko Hai. Isi Se Judi Surah Rum Ki Is Ayat Par Gaur Karein.


Yaha Clearly Allah (Swt) Ne Is Baat Ka Ishara Kiya Hai Ki Logon Ne Apne Apne Firqe Bana Liye Hain, Or Alag Alag Giroh Me Bat Gaye Hain. Aur Sabhi Ke Sabhi Apni Soch Ko Aur Apne Aamal Ko Sahi Thehrane Me Magan Hain. Astagfirullah, Kya Ye Hamara Guroor Nahi?

Lekin, Aakhir Rasulullah (Saw) Ke Diye Gaye Umda Ilm Ke Bawajood Bhi Hamari Kaum Me Ye Aib Aaya Kese? Darasal Firqawari Ki Asal Wajah Yeh Guroor Or Khudko Dusro Se Behtar Saabit Karna Hi Hai. Is Baat Ko Samajhne Ke Liye Surah Shura Ki Is Ayat Par Aayein.


To Jo Musalman Jo Apne Rab Ke Huqum Ko Sabse Aage Rakhta Hai, Yaha Aakar Wo Apni Aankhen Kyo Band Kar Leta Hai? Kyo Wo Quran Se Badhkar Kisi Insan  Ki Baaton Ko Tarzeeh Deta Hai? Kyo Sawal Nahi Karta? Aur Kyon Wo Khud Apne Deen Ko Jaanne Ki Zehmat Nahi Karta?

Aakhir, Musalman Hone Ki Shart Kya Hain?

1) Ek Allah (Swt) Par Imaan Rakhna.
2) Muhammad (Saw) Ko Aakhri Nabi Manna.
3) Quran Padhna.
4) Namaz Kayam Karna.
5) Zakaat Dena.
6) Roze Rakhna.
7) Aur Agar Sahibe Nisab Ho To Haj Karna.

Meri Jankari Ke Andar Islam Ke Jyadatar Tabqe Ye Karte Hain. To Ye Batwara Kesa?

Achchhe Bure Log Aapko Har Tabqe Me Milenge. Kuchh Log Deen Ki Kami Ki Wajah Se Gumrahiyo Me Mublita Ho Sakte Hain. Aise Me Unhe Khud Se Door Karni Ki Jagah, Logo Me Unke Liye Nafrat Bharne Ki Jagah Agar Hamare Bade Unki Rehnumayi Kare To Shayad Allah (Swt) Aur Hamare Nabi (Saw) Ko Hamari Ye Ada Jyada Pasand Aye.

Aakhir Me Yahi Kahunga Ki Hamare Ulema, Hamare Bade Hamare Sar Ka Taaj Hain. Lekin, Kuchh Baate Samajhne Ki Salahiyat Allah (Swt) Ne Hum Sabhi Ko Di Hain. Uska Istemal Karein. Koi Bhi Baat Sunkar Blindly Use Follow Na Karein. Apne Deen Ko Khud Samjhein. Ye Farz Hain Hum Musalmano Par. Iske Liye Quran Tarjume Ke Saath Padhein. Sahih Hadith Ka Mutal'aa Karein. Aur Allah Se Gidgida Kar Dua Karein Ki Wo Aapko Sidhi Raah Dikhaein. Inshaallah Madat Zaroor Aayegi.

Allah Hum Sabhi Ko Hidayat De!! Aameen

Post a Comment

0 Comments