Beshak Quran Ek Mojza Hai. Jisme Ta Qayamat Tak Aane Wale Musalmano Ke Liye Hidayat Hi Hidayat Hai. Quran Zindagi Ke Har Mod Par Rehnumayi Karta Hai.
Quran Paak Ki Surah Saad Mein Allah Taala Ne Hume Ye Bataya Hai Ki Ek Momin Ko Kese Rule Karna Chahiye.
Allah Ta'ala Ayat No. 26 Me Farmate Hain Ki, "Aye Dawood, Humne Tumko Zameen Par Apna Nayeb Karar Diya, To Tum Logon Ke Beech Haq Faisla Kiya Karo, Aur Apni Nafsiyani Khwahishaat Ki Pairwi Na Karo. Warna Yeh Tumhe Khuda Ki Raah Se Behka Degi. Isme Koi Shak Nahi Ki Jo Khuda Ki Raah Se Bhatak Jaate Hain Unki Badi Sakht Saza Hogi, Kyonki Unhone Qayamat Ke Dinko Bhula Diya".
Notes :
Is Ayat Main 3 Baate Gaur Karne Jesi Hain;
1. Allah Ta'ala Ne Hazrat Dawood Alaisalam Ko Apna Khalifa Banaya.
2. Jab Kisi Momin Ko Allah (SWT) Ki Taraf Duniya Ki Saltanat Ata Ho To, Use Kisi Bhi Tarah Ki Farqa Parasti Ko Chhod Sirf Haq Ki Buniyad Par Sahi Faisla Lena Chahiye.
3. Aur Jo Koi Apni Nafs Ke Haathon Majboor Ho Galat Faisla Kare, Ya Logo Par Zulm Kare, Ya Apni Position Ka Galat Istemal Kare, Wo Raahe Haq Se Bhatak Chuka Hai, Aur Aise Logon Ke Liye Sakht Saza Hai.
0 Comments